Insaano ke kandho par insaan jaa rahe the,
Kafno mein lipte kuch armaan jaa rahe the,
Jinhe mili bewafai mohabbat mein,
Wafa ki talaash mein wo shamshaan jaa rahe the..!!
Anjaane mein dil gawa baithe,
Is pyar mein kaise dhoka kha baithe,
Unse kya gila kare bhul hamari thi,
Jo bina dilwalo se dil laga baithe..!!
Waade bhi usne kya khoob nibhaye hai,
Zakhm muft aur dard tohfe mein bhijwaye hai,
Isse badkar wafadari ki misaal kya hogi,
Maut se pehle wo kafan lekar aaye hai..!!
Karo duaa tum khuda se,
Ke hum pe bhi barse,
Baarish na sahi par kam se kam,
Thandi hawaon ke liye koi na tarse..!!
In Aankho Ko Samjhaye Koi,
Na Dil Ka Haal Bataye jaate hai,
K Aksar Marham Lagane Wale,
Hi Zakhm De Jaate Hai..!!
In Aankho Ne Kiya Ghayal,
Un Baaton Ne Kiya Pagal,
Deewani Thi Dharti Aakash Ki,
Ab Deewana Hua Badal..!!
Kaash waado ka matlab wo samajhte,
kaash khamoshi ka matlab wo samajhte,
nazre kehti he hazaar baate,
kaash meri nazar ka matlab wo samajhte..!!
Log phoolon se pyaar karte hai,
Kanto ko kisne yaad kiya,
Hum kaanto se mohabbat karte hai,
Kyunki phoolon ne hume barbad kiya..!!
Dost hai to Aansuo ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to Mahfil bhi Kabristaan hoti hai,
Sara khel to dosti ka hi hai,
Warna mayyat aur baraat ek samaan hoti hai..!!!