Home » Ask & Discuss » Fun Zone » Lounge « Back to Discussion
Lounge
Isliye ..
Do ek panktiyaan ..
Madhushaala ki..
Apne yug mein sabko anupam gyaat hui apni haala...
Apne yug mein sabko adhbhut gyaat hua apna pyaala...
Fir bhi vridhdhon se jab pucha, ek yahi uttar paaya...
Ki ab na rahe vo pine wale, ab na rahi vo madhushaala...
Ek baras mein ek baar hi jalti holi ki jwaala...
Ek baar hi lagti baaji jalti deepon ki maala...
Duniya waalon kintu, kisi din aa madiraalay mein dekho...
Din ko holi raat diwaali, roz manati madhushaala...
Musalmaan aur hindu hain to ek un ka pyaala...
Ek magar unka madiraley, ek magar unki haala...
Dono rahe the saath mein jab tak, mandir masjid mein jaate...
Bair badate mandir masjid, mel karati madhushaala...
Yam aayega saaqi bankar saath liye kaali haala..
Pi na hosh mein phir aayega sura wisudh yeh matwaala..
Yeh antim behoshi antim saaqi antim pyaala hai..
Pathik pyaar se pina isko fir na milegi madhushaala....
Mere adharon par ho na antim wastu na tulsi-jal pyala..
Mere jiwha par ho antim wastu na ganga-jal haala...
Mere shav ke peechey chalne-waalon yaad ise rakhna..
ram-naam hai satya na kehna kehna sachchi madhushaala..
Mere shav par woh roye ho jiske aansoo mein haala...
Aah bhare woh jo ho surbhit madira pikar matwaala...
De mujhko kaandha jinke pad-mad dag-mag honte ho...
Aur jalun uss thaur jahan par kabhi rahi ho madhushaala..
Aur chita par jaye undela paatr na ghrith ka par pyaala...
Ghamt bandhe angoor latha mein madhya na jal ho par haala...
praan-priye yadi shraadh karo tum mera to aise karna ...
Peene-waalon ko bulwa kar khulwa dena madhushaala...
The original one had two stanzas missing ....so i added them.
Enjoy.
Comments (10)











