Nibhaya na gaya hamse woh ristha wafa ka
Kuch aisi khata hamse nadaani mein ho gayi
Rooth gaye woh hamse jinhe dil mein basaya tha
Khushiyon ki hamari jaise neelaami ho gayi
Hamne koshish bhi ki unko manane ki
Jhuk bhi gaye zamaane ke aage
Par tab baatein hamari ek kahani ho gayi
Sau khushiyon pe ek dard bhari pada
Us dard mein ham doob gaye is kadar
Thi jo mohabbat ab aankhon ka paani ho gayi
Thi jo mohabbat ab aankhon ka paani ho gayi