|
|
a short poem...... har khushi hai logon k daaman mein, par hansi k liye waqt nahin din raat daudti duniya main , zindagi k liye waqt nahin. maa ki lori ka ehsaas toh hai, par use maa kehne ka waqt nahin, bhai ke liye aakhon mein aansu hain,par use rakhi bandhne ka waqt nahin. gairon ki kya baat karein jab apno k liye waqt nahin saare naam toh hain moblie main, par phone milane ka waqt nahin aankhon mein hai neend bhari ,par sone ka waqt nahin dil hai gamon se bhara hua, par rone ka bhi waqt nahin........
|